nigah-e-sharmagin sahr-afrin malum hoti hai
nigāh-e-sharmagīñ sahr-āfrīñ ma.alūm hotī hai
ye dushman hai magar dushman nahīñ ma.alūm hotī hai
mo.attar hai mashām-e-jāñ bahār-e-husn-e-rangīñ se
khulī phir aaj zulf-e-ambarīñ ma.alūm hotī hai
kahīñ hairat meñ nargis hai kahīñ gul chāk-dāman hai
mohabbat kī fazā kitnī hasīñ ma.alūm hotī hai
uḌaa.ī ḳhaak maiñ ne is qadar kū-e-mohabbat kī
ki apne sar pe bhī mujh ko zamīñ ma.alūm hotī hai
ḳhalish-hā-e-tamanna kī shikāyat kyā dil-e-nādāñ
mohabbat meñ musībat bhī kahīñ ma.alūm hotī hai
ḳhudā jaane chaman meñ aaj kyā guzrī nasheman par
pareshāñ ḳhud-baḳhud jān-e-hazīñ ma.alūm hotī hai
ye aakar dil meñ phir dil se nahīñ miTtī nahīñ jaatī
hasīnoñ kī tamanna bhī hasīñ ma.alūm hotī hai
bahār-e-gulshan-e-hastī pe kyoñ nāzāñ hai ai gulchīñ
chhupī shāyad ḳhizāñ is meñ nahīñ ma.alūm hotī hai
'vafā' ho yā jafā ho kuchh nahīñ is se ġharaz mujh ko
kisī kī har adā dil ko hasīñ ma.alūm hotī hai
nigah-e-sharmagin sahr-afrin malum hoti hai
ye dushman hai magar dushman nahin malum hoti hai
moattar hai masham-e-jaan bahaar-e-husn-e-rangin se
khuli phir aaj zulf-e-ambarin malum hoti hai
kahin hairat mein nargis hai kahin gul chaak-daman hai
mohabbat ki faza kitni hasin malum hoti hai
uDai KHak main ne is qadar ku-e-mohabbat ki
ki apne sar pe bhi mujh ko zamin malum hoti hai
KHalish-ha-e-tamanna ki shikayat kya dil-e-nadan
mohabbat mein musibat bhi kahin malum hoti hai
KHuda jaane chaman mein aaj kya guzri nasheman par
pareshan KHud-baKHud jaan-e-hazin malum hoti hai
ye aakar dil mein phir dil se nahin miTti nahin jati
hasinon ki tamanna bhi hasin malum hoti hai
bahaar-e-gulshan-e-hasti pe kyon nazan hai ai gulchin
chhupi shayad KHizan is mein nahin malum hoti hai
'wafa' ho ya jafa ho kuchh nahin is se gharaz mujh ko
kisi ki har ada dil ko hasin malum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.