nigah-e-shauq ko phir lutf-e-be-hisab mile
nigāh-e-shauq ko phir lutf-e-be-hisāb mile
ḳhudā kare ki tujhe dā.imī shabāb mile
tamām umr mujassam savāl ban ke rahe
tamām umr ye ḳhvāhish rahī javāb mile
mirī nazar se tire pur-fusūñ nazāroñ tak
ka.ī rukāvaTeñ aa.iiñ ka.ī hijāb mile
alam ke dard ke sadmāt ke tasanño ke
ruḳh-e-hayāt pe aise hī kuchh naqāb mile
mire ḳhutūt kā maqsad ḳhitāb thā tum se
mire ḳhutūt kā manshā na thā javāb mile
baġhaur paḌhte rahe us ko is liye 'raushan'
kitāb-e-zīst meñ shāyad ḳhushī kā baab mile
nigah-e-shauq ko phir lutf-e-be-hisab mile
KHuda kare ki tujhe daimi shabab mile
tamam umr mujassam sawal ban ke rahe
tamam umr ye KHwahish rahi jawab mile
meri nazar se tere pur-fusun nazaron tak
kai rukawaTen aain kai hijab mile
alam ke dard ke sadmat ke tasanno ke
ruKH-e-hayat pe aise hi kuchh naqab mile
mere KHutut ka maqsad KHitab tha tum se
mere KHutut ka mansha na tha jawab mile
baghaur paDhte rahe us ko is liye 'raushan'
kitab-e-zist mein shayad KHushi ka bab mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.