nigah-e-shauq mein KHwabon ka ek samundar tha
nigah-e-shauq mein KHwabon ka ek samundar tha
Mohammad Siddiq Naqvi
MORE BYMohammad Siddiq Naqvi
nigāh-e-shauq meñ ḳhvāboñ kā ik samundar thā
khulī jo aañkh to maiñ hādse kī zad par thā
tamām umr maiñ bāhar talāsh karne se
ḳhud apnī zaat meñ maiñ jhāñktā to behtar thā
salīb par use kis jurm meñ chaḌhāyā gayā
vo ek shaḳhs jo rahbar thā na payambar thā
kisī bhī jang meñ us ne nahīñ fat.h paa.ī
ye aur baat ki vo vaqt kā sikandar thā
jagā sakī na kisī ko hamārī chīḳh kabhī
hamāre ahd kā har shaḳhs goyā patthar thā
tamām umr mirī ḳhauf meñ kaTī 'naqvī'
jahāñ qiyām thā merā vo kāñch kā ghar thā
nigah-e-shauq mein KHwabon ka ek samundar tha
khuli jo aankh to main hadse ki zad par tha
tamam umr main bahar talash karne se
KHud apni zat mein main jhankta to behtar tha
salib par use kis jurm mein chaDhaya gaya
wo ek shaKHs jo rahbar tha na payambar tha
kisi bhi jang mein us ne nahin fath pai
ye aur baat ki wo waqt ka sikandar tha
jaga saki na kisi ko hamari chiKH kabhi
hamare ahd ka har shaKHs goya patthar tha
tamam umr meri KHauf mein kaTi 'naqwi'
jahan qiyam tha mera wo kanch ka ghar tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.