nigah-e-shauq mein sauda-e-justaju kya hai
nigāh-e-shauq meñ saudā-e-justajū kyā hai
dil-e-shikasta meñ ab aur aarzū kyā hai
nahīñ hai shart koī zauq-e-mai-kashī ke liye
nigāh-e-rind meñ mai-ḳhāna kyā subū kyā hai
bahār shart hai gulshan meñ zindagī ke liye
guloñ ke naam pe tafrīq-e-rang-o-bū kyā hai
payām-e-amn-o-mohabbat jo le ke aa.e the
unhīñ se pūchho ye har samt hāo-hū kyā hai
ajiib aap kā e.ajāz-e-vaza-dārī hai
har ek baat meñ kahte ho tum ki tū kyā hai
nigah meñ bulbul-o-gulchīñ kī hai vaqār abhī
vagarna phūloñ kī gulshan meñ aabrū kyā hai
na koī shauq na hasrat na justujū na ḳhalish
bisāt-e-raqs pe bismil kī aarzū kyā hai
nigah-e-shauq mein sauda-e-justaju kya hai
dil-e-shikasta mein ab aur aarzu kya hai
nahin hai shart koi zauq-e-mai-kashi ke liye
nigah-e-rind mein mai-KHana kya subu kya hai
bahaar shart hai gulshan mein zindagi ke liye
gulon ke nam pe tafriq-e-rang-o-bu kya hai
payam-e-amn-o-mohabbat jo le ke aae the
unhin se puchho ye har samt hao-hu kya hai
ajib aap ka eajaz-e-waza-dari hai
har ek baat mein kahte ho tum ki tu kya hai
nigah mein bulbul-o-gulchin ki hai waqar abhi
wagarna phulon ki gulshan mein aabru kya hai
na koi shauq na hasrat na justuju na KHalish
bisat-e-raqs pe bismil ki aarzu kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.