nigah-e-shauq mein yun zulf ke sab pech-o-KHam Dube
nigāh-e-shauq meñ yuuñ zulf ke sab pech-o-ḳham Duube
aqīdat kī nadī meñ jaise patthar ke sanam Duube
hue alfāz gūñge ho ga.iiñ sab harkateñ mub.ham
ki jab apne lahū meñ apne hī lauh-o-qalam Duube
hazāroñ nafsiyātī rang ubhar aa.e ki jab dekhā
ḳhushī kī ik pyālī meñ pahāḌoñ jaise ġham Duube
mohabbat kā samundar to bulātā hī rahā lekin
rahe donoñ kināre par na tum Duube na ham Duube
Dubonā Dūbnā hai rāhat-e-jāñ khul gayā uqda
jo pahle pahl us ke nainoñ meñ us ke balam Duube
tujhe kaise batā.ūñ ai ġhazāla terī āñkhoñ meñ
bahut Duube mire armān lekin phir bhī kam Duube
raqīb apne se thiiñ aThkheliyāñ girdāb kī aisī
agar ubhrā to vo ubhrā agar Duube to ham Duube
laboñ ke sāhiloñ par naam us kā likh ke rakhiyegā
kahīñ aisā na ho ki apne mohsin kā karam Duube
na gangā-jal meñ hī Duube na Duube āb-e-kausar meñ
magar ashkoñ ke sāgar meñ sabhī dair-o-haram Duube
tire alfāz 'panchhī' terī kashtī ke musāfir the
talāsh-e-jazba-e-tausīf meñ jo dam-ba-dam Duube
nigah-e-shauq mein yun zulf ke sab pech-o-KHam Dube
aqidat ki nadi mein jaise patthar ke sanam Dube
hue alfaz gunge ho gain sab harkaten mubham
ki jab apne lahu mein apne hi lauh-o-qalam Dube
hazaron nafsiyati rang ubhar aae ki jab dekha
KHushi ki ek pyali mein pahaDon jaise gham Dube
mohabbat ka samundar to bulata hi raha lekin
rahe donon kinare par na tum Dube na hum Dube
Dubona Dubna hai rahat-e-jaan khul gaya uqda
jo pahle pahl us ke nainon mein us ke balam Dube
tujhe kaise bataun ai ghazala teri aankhon mein
bahut Dube mere arman lekin phir bhi kam Dube
raqib apne se thin aThkheliyan girdab ki aisi
agar ubhra to wo ubhra agar Dube to hum Dube
labon ke sahilon par nam us ka likh ke rakhiyega
kahin aisa na ho ki apne mohsin ka karam Dube
na ganga-jal mein hi Dube na Dube aab-e-kausar mein
magar ashkon ke sagar mein sabhi dair-o-haram Dube
tere alfaz 'panchhi' teri kashti ke musafir the
talash-e-jazba-e-tausif mein jo dam-ba-dam Dube
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.