nigah-e-shauq waqf-e-husn-e-fitrat hoti jati hai
nigāh-e-shauq vaqf-e-husn-e-fitrat hotī jaatī hai
tabī.at mahram-e-rāz-e-mohabbat hotī jaatī hai
numāyāñ shoḳhī-e-rañg-e-tabī.at hotī jaatī hai
ki har kāfir adā se ab mohabbat hotī jaatī hai
mohabbat aah kyā shai hai mohabbat kyā kahūñ tum se
mujhe ma.alūm dil kī qadr-o-qīmat hotī jaatī hai
mirā zauq-e-parastish hai judā saare zamāne se
mohabbat kartā jaatā huuñ ibādat hotī jaatī hai
maiñ jitnā ġhaur kartā huuñ nizām-e-bazm-e-hastī par
isī nisbat se zāhir ab haqīqat hotī jaatī hai
jafā-e-charḳh kaj-buniyād ko rāhat samajhtā huuñ
dalīl-e-rāh-e-irfāñ har musībat hotī jaatī hai
qayāmat hai ki arbāb-e-mohabbat uThte jaate haiñ
nazar vāloñ se ḳhālī bazm-e-fitrat hotī jaatī hai
vatan vāloñ se koī kaash kah de 'rāz' ye jā kar
bahār-e-zindagānī nazr-e-ġhurbat hotī jaatī hai
nigah-e-shauq waqf-e-husn-e-fitrat hoti jati hai
tabiat mahram-e-raaz-e-mohabbat hoti jati hai
numayan shoKHi-e-rang-e-tabiat hoti jati hai
ki har kafir ada se ab mohabbat hoti jati hai
mohabbat aah kya shai hai mohabbat kya kahun tum se
mujhe malum dil ki qadr-o-qimat hoti jati hai
mera zauq-e-parastish hai juda sare zamane se
mohabbat karta jata hun ibaadat hoti jati hai
main jitna ghaur karta hun nizam-e-bazm-e-hasti par
isi nisbat se zahir ab haqiqat hoti jati hai
jafa-e-charKH kaj-buniyaad ko rahat samajhta hun
dalil-e-rah-e-irfan har musibat hoti jati hai
qayamat hai ki arbab-e-mohabbat uThte jate hain
nazar walon se KHali bazm-e-fitrat hoti jati hai
watan walon se koi kash kah de 'raaz' ye ja kar
bahaar-e-zindagani nazr-e-ghurbat hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.