nigah-e-yar ka mujh pe KHumar rahne do
nigāh-e-yār kā mujh pe ḳhumār rahne do
ab un ke 'ishq kā mujh ko shikār rahne do
jo rū-barū ho to jī bhar ke dekh lene do
tum aaj vā'da-e-qaul-o-qarār rahne do
ye tai hai sā'at-e-furqat kā ġham bhī sahnā hai
fasīl-e-‘ishq meñ rāh-e-farār rahne do
sabaq na mujh ko sikhāo ab 'aql-o-dānish kā
ki merā 'āshiqoñ meñ hī shumār rahne do
chukā na pā.eñge terā ye qarz-e-mehr-o-vafā
so kuchh dinoñ kī mohabbat udhār rahne do
yuuñ mere sāmne tum jalva-gar huā na karo
jo mujh meñ hausla hai barqarār rahne do
jo shab ke āḳhirī pahroñ meñ tum bhī 'māham' ko
palaT ke dekhte ho bār-bār rahne do
nigah-e-yar ka mujh pe KHumar rahne do
ab un ke 'ishq ka mujh ko shikar rahne do
jo ru-baru ho to ji bhar ke dekh lene do
tum aaj wa'da-e-qaul-o-qarar rahne do
ye tai hai sa'at-e-furqat ka gham bhi sahna hai
fasil-e-‘ishq mein rah-e-farar rahne do
sabaq na mujh ko sikhao ab 'aql-o-danish ka
ki mera 'ashiqon mein hi shumar rahne do
chuka na paenge tera ye qarz-e-mehr-o-wafa
so kuchh dinon ki mohabbat udhaar rahne do
yun mere samne tum jalwa-gar hua na karo
jo mujh mein hausla hai barqarar rahne do
jo shab ke aaKHiri pahron mein tum bhi 'maham' ko
palaT ke dekhte ho bar-bar rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.