nigah-e-yar mein thoDa sanwar jaun to dastak dun
nigah-e-yar mein thoDa sanwar jaun to dastak dun
Hanif Danish Indori
MORE BYHanif Danish Indori
nigāh-e-yār meñ thoḌā sañvar jā.ūñ to dastak duuñ
jo nazroñ se dar-e-dil tak pahuñch pā.ūñ to dastak duuñ
savālī huuñ tire dar kā anā mumtāz par mujh ko
anā ke zo.am se bāhar nikal aa.uuñ to dastak duuñ
ye sochā hai tirī mahfil meñ ik din hashr barpā.ūñ
qayāmat apne sar par maiñ uThā lā.ūñ to dastak duuñ
yahī maiñ soch ke bhaa.ī ke ghar se phir palaT aayā
nibhā legā vo mujh se maiñ jo nibh pā.ūñ to dastak duuñ
dar-e-jānāñ pe aakar ho gayā huuñ ḳhud meñ gum-gashta
maiñ apne aap se bāhar nikal aa.uuñ to dastak duuñ
tire sab dekhne vaale mujhe dekheñ tire jaisā
tire dar par maiñ aise rang meñ aa.uuñ to dastak duuñ
nigah-e-yar mein thoDa sanwar jaun to dastak dun
jo nazron se dar-e-dil tak pahunch paun to dastak dun
sawali hun tere dar ka ana mumtaz par mujh ko
ana ke zoam se bahar nikal aaun to dastak dun
ye socha hai teri mahfil mein ek din hashr barpaun
qayamat apne sar par main uTha laun to dastak dun
yahi main soch ke bhai ke ghar se phir palaT aaya
nibha lega wo mujh se main jo nibh paun to dastak dun
dar-e-jaanan pe aakar ho gaya hun KHud mein gum-gashta
main apne aap se bahar nikal aaun to dastak dun
tere sab dekhne wale mujhe dekhen tere jaisa
tere dar par main aise rang mein aaun to dastak dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.