nigah jis pe teri mehrban hoti hai
nigāh jis pe tirī mehrbān hotī hai
zamīñ zamīñ nahīñ vo āsmān hotī hai
har ek dil nahīñ ho saktā dard ke qābil
har ek khet meñ kab za.afrān hotī hai
ye jaltī dhuup ye lambā safar magar sar par
koī buzurg duā sā.ebān hotī hai
idhar amiir ke beTe ke ḳhvāb jāgte haiñ
udhar ġharīb kī beTī javān hotī hai
tum us kā naam ibārat se ḳhatm mat karnā
ki shaḳhsiyat hī ibārat kī jaan hotī hai
samajh sakā na zamāna ye aaj tak 'shahzar'
ḳhamoshiyoñ kī bhī apnī zabān hotī hai
nigah jis pe teri mehrban hoti hai
zamin zamin nahin wo aasman hoti hai
har ek dil nahin ho sakta dard ke qabil
har ek khet mein kab zafran hoti hai
ye jalti dhup ye lamba safar magar sar par
koi buzurg dua saeban hoti hai
idhar amir ke beTe ke KHwab jagte hain
udhar gharib ki beTi jawan hoti hai
tum us ka nam ibarat se KHatm mat karna
ki shaKHsiyat hi ibarat ki jaan hoti hai
samajh saka na zamana ye aaj tak 'shahzar'
KHamoshiyon ki bhi apni zaban hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.