nigah ko jo unhen dekhne ki tab nahin
nigāh ko jo unheñ dekhne kī taab nahīñ
yahī hijāb hai un kā ki ab hijāb nahīñ
vo kaun hai jo halāk-e-sad-iztirāb nahīñ
ḳharāb tū hī dil-e-ḳhānumāñ-ḳharāb nahīñ
farāz-e-dāman-e-hastī pe daaġh hai goyā
vo zindagī jo mohabbat meñ kāmyāb nahīñ
bas ek baar mirī talḳh-kāmiyoñ pe nazar
tirī nigāh meñ jiinā agar 'azāb nahīñ
nazāra-soz hai barq-e-jamāl-e-dost magar
nigāh-e-shauq kī fitrat meñ inqalāb nahīñ
nigāh-e-yār tirī mastiyāñ are tauba
ye haal hai ki mujhe hājat-e-sharāb nahīñ
ye ro'b-e-husn ye shān-e-jamāl kyā kahnā
vo sāmne haiñ magar dekhne kī taab nahīñ
tirī nigāh kī mā'sūm barhamī kī qasam
tirā 'itāb ba-andāza-e-'itāb nahīñ
sukūt-e-shab meñ ḳhudāyā ye kis kī yaad aa.ī
ki mere dīda-e-tar ko majāl-e-ḳhvāb nahīñ
ḳhudī bhī hai mirī ham-rang-e-be-ḳhudī yā'nī
vahāñ huuñ maiñ ki jahāñ maiñ bhī bāryāb nahīñ
na jaane kyoñ mujhe is kā yaqīñ nahīñ aatā
ki merī zindagī-e-‘ishq kāmyāb nahīñ
kamāl-e-zabt ko vaj.h-e-sukūn-e-dil na samajh
ye iztirāb kī had hai ki iztirāb nahīñ
ḳhud apnī aag meñ jalne kā lutf kyā jaane
'hazīñ' jo soz-e-mohabbat se faizyāb nahīñ
nigah ko jo unhen dekhne ki tab nahin
yahi hijab hai un ka ki ab hijab nahin
wo kaun hai jo halak-e-sad-iztirab nahin
KHarab tu hi dil-e-KHanuman-KHarab nahin
faraaz-e-daman-e-hasti pe dagh hai goya
wo zindagi jo mohabbat mein kaamyab nahin
bas ek bar meri talKH-kaamiyon pe nazar
teri nigah mein jina agar 'azab nahin
nazara-soz hai barq-e-jamal-e-dost magar
nigah-e-shauq ki fitrat mein inqalab nahin
nigah-e-yar teri mastiyan are tauba
ye haal hai ki mujhe hajat-e-sharab nahin
ye ro'b-e-husn ye shan-e-jamal kya kahna
wo samne hain magar dekhne ki tab nahin
teri nigah ki ma'sum barhami ki qasam
tera 'itab ba-andaza-e-'itab nahin
sukut-e-shab mein KHudaya ye kis ki yaad aai
ki mere dida-e-tar ko majal-e-KHwab nahin
KHudi bhi hai meri ham-rang-e-be-KHudi ya'ni
wahan hun main ki jahan main bhi baryab nahin
na jaane kyon mujhe is ka yaqin nahin aata
ki meri zindagi-e-‘ishq kaamyab nahin
kamal-e-zabt ko wajh-e-sukun-e-dil na samajh
ye iztirab ki had hai ki iztirab nahin
KHud apni aag mein jalne ka lutf kya jaane
'hazin' jo soz-e-mohabbat se faizyab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.