nigah-o-dil ko jalane ka hausla to karo
nigah-o-dil ko jalane ka hausla to karo
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
nigāh-o-dil ko jalāne kā hausla to karo
uThā ke parde haqīqat kā sāmnā to karo
bisāt-e-raqs pe naġhmoñ se khelne vaalo
kisī ġharīb kī fariyād bhī sunā to karo
kisī ke aib tumheñ phir nazar na ā.eñge
ḳhud apne aap ko tafsīl se paḌhā to karo
vo zindagī ke liye ho ki ho ajal ke liye
hamāre haq meñ kabhī tum koī duā to karo
dikhā.ī deñge hameñ ham tumhāre chehre meñ
nazar ke sāmne ik baar aa.ina to karo
majāz ḳhud hī haqīqat kā ruup Dhālegā
ye shart hai ki haq-e-bandagī adā to karo
hamārī aañkh meñ sūraj ko DhūñDne vaalo
tum apne dil ko ujāloñ se āshnā to karo
maiñ kā.enāt kī har shai ko chhoḌ saktā huuñ
tum apne dard-e-mohabbat se āshnā to karo
bahut tavīl sahī shab tumhārī zulfoñ kī
'sahar' ko in ke ujāloñ se āshnā to karo
nigah-o-dil ko jalane ka hausla to karo
uTha ke parde haqiqat ka samna to karo
bisat-e-raqs pe naghmon se khelne walo
kisi gharib ki fariyaad bhi suna to karo
kisi ke aib tumhein phir nazar na aaenge
KHud apne aap ko tafsil se paDha to karo
wo zindagi ke liye ho ki ho ajal ke liye
hamare haq mein kabhi tum koi dua to karo
dikhai denge hamein hum tumhaare chehre mein
nazar ke samne ek bar aaina to karo
majaz KHud hi haqiqat ka rup Dhaalega
ye shart hai ki haq-e-bandagi ada to karo
hamari aankh mein suraj ko DhunDne walo
tum apne dil ko ujalon se aashna to karo
main kaenat ki har shai ko chhoD sakta hun
tum apne dard-e-mohabbat se aashna to karo
bahut tawil sahi shab tumhaari zulfon ki
'sahar' ko in ke ujalon se aashna to karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.