nigah o dil mein wahi karbala ka manzar tha
nigah o dil mein wahi karbala ka manzar tha
Syeda Nafis Bano shama
MORE BYSyeda Nafis Bano shama
nigāh o dil meñ vahī karbalā kā manzar thā
maiñ tishna-lab thī mire sāmne samundar thā
bahut ġhurūr thā biphre hue samundar ko
magar jo dekhā mire āñsuoñ se kam-tar thā
hamāre hisse meñ aa.ī hai ret sāhil kī
kisī ne chhīn lī vo siip jis meñ gauhar thā
bahut sukūn thā Thahre hue samundar ko
ki us meñ jo bhī thā tūfān mere andar thā
vo shaḳhs aayā thā ai 'sham.a' le ke mausam-e-gul
use ḳhabar hī na thī dard merā zevar thā
nigah o dil mein wahi karbala ka manzar tha
main tishna-lab thi mere samne samundar tha
bahut ghurur tha biphre hue samundar ko
magar jo dekha mere aansuon se kam-tar tha
hamare hisse mein aai hai ret sahil ki
kisi ne chhin li wo sip jis mein gauhar tha
bahut sukun tha Thahre hue samundar ko
ki us mein jo bhi tha tufan mere andar tha
wo shaKHs aaya tha ai 'shama' le ke mausam-e-gul
use KHabar hi na thi dard mera zewar tha
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 514)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.