nigah phir se wahi shakl ru-baru chahe
nigāh phir se vahī shakl rū-barū chāhe
vo shakl mausam-e-gul jis se rang-o-bū chāhe
na terā zikr na vo terī guftugū chāhe
ki us ko chāhiye kyā aur jis ko tū chāhe
yaqīn donoñ ko hai aur is mohabbat kā
na e'tirāf kabhī maiñ karūñ na tū chāhe
ye haal ho to koī us se kyā kahe jis ko
hayā bhī aa.e magar sharh-e-ārzū chāhe
kahīñ se shab kī mazammat kā silsila to chale
koī to ho jo ujāloñ ko surḳh-rū chāhe
use ḳhabar hai ki ham us pe jaan dete haiñ
anā-parast hai iz.hār rū-barū chāhe
'surūr' harf-shanāsī kī manzileñ haiñ kaThin
ki ye riyāzat-e-fan dil lahū-lahū chāhe
nigah phir se wahi shakl ru-baru chahe
wo shakl mausam-e-gul jis se rang-o-bu chahe
na tera zikr na wo teri guftugu chahe
ki us ko chahiye kya aur jis ko tu chahe
yaqin donon ko hai aur is mohabbat ka
na e'tiraf kabhi main karun na tu chahe
ye haal ho to koi us se kya kahe jis ko
haya bhi aae magar sharh-e-arzu chahe
kahin se shab ki mazammat ka silsila to chale
koi to ho jo ujalon ko surKH-ru chahe
use KHabar hai ki hum us pe jaan dete hain
ana-parast hai izhaar ru-baru chahe
'surur' harf-shanasi ki manzilen hain kaThin
ki ye riyazat-e-fan dil lahu-lahu chahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.