nigah thi mujhe hasil to wo nazara tha
nigāh thī mujhe hāsil to vo nazārā thā
har ek shai meñ nayā ek isti.āra thā
mire safīne ko dariyā ne kab diyā rasta
vahīñ bhañvar bhī thā yaaro jahāñ kinārā thā
usī ne aaj unheñ be-sahārā chhoḌ diyā
vo ek beTā jo māñ-bāp kā sahārā thā
tumhāre ġham ne murattab kiyā mohabbat se
vagarna ye varaq-e-dil to pāra-pāra thā
hamārī himmateñ dekho kiyā vahī saudā
vafā kā saudā jo sab se baḌā ḳhasāra thā
use harā diyā pattoñ kī bevafā.ī ne
vo ek peḌ havāoñ se jo na haarā thā
Darā diyā hai 'niyāz' āñsūoñ ne zulmat ko
na merī palkoñ pe jugnū thā nai sitārā thā
nigah thi mujhe hasil to wo nazara tha
har ek shai mein naya ek istiara tha
mere safine ko dariya ne kab diya rasta
wahin bhanwar bhi tha yaro jahan kinara tha
usi ne aaj unhen be-sahaara chhoD diya
wo ek beTa jo man-bap ka sahaara tha
tumhaare gham ne murattab kiya mohabbat se
wagarna ye waraq-e-dil to para-para tha
hamari himmaten dekho kiya wahi sauda
wafa ka sauda jo sab se baDa KHasara tha
use hara diya patton ki bewafai ne
wo ek peD hawaon se jo na haara tha
Dara diya hai 'niyaz' aansuon ne zulmat ko
na meri palkon pe jugnu tha nai sitara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.