nigah tur pe hai aur jamal sine mein
nigāh tuur pe hai aur jamāl siine meñ
ye kaifiyat hai tirā naam le ke piine meñ
junūñ ko hosh kahāñ sāñvle mahīne meñ
khilā huā hai chaman aarzū kā siine meñ
chaman meñ jab bhī tire pairahan kī bū aa.ī
bahār bhiig ga.ī sharm se pasīne meñ
yūñhī nahīñ hai surūr-e-shab-e-firāq ai dost
kaTī hai raat sitāroñ kā nuur piine meñ
tirī nigāh meñ hai sirf ḳhatra-e-girdāb
ye dekh saikḌoñ tūfān meñ safīne meñ
jahāñ gireñ mire aañsū gulāb khil jaa.eñ
bharā huā hai lahū dil ke ābgīne meñ
yuuñ muskurā ke tirā āñsuoñ ko pī jaanā
koī to raaz hai ai 'ramz' aise jiine meñ
nigah tur pe hai aur jamal sine mein
ye kaifiyat hai tera nam le ke pine mein
junun ko hosh kahan sanwle mahine mein
khila hua hai chaman aarzu ka sine mein
chaman mein jab bhi tere pairahan ki bu aai
bahaar bhig gai sharm se pasine mein
yunhi nahin hai surur-e-shab-e-firaq ai dost
kaTi hai raat sitaron ka nur pine mein
teri nigah mein hai sirf KHatra-e-girdab
ye dekh saikDon tufan mein safine mein
jahan giren mere aansu gulab khil jaen
bhara hua hai lahu dil ke aabgine mein
yun muskura ke tera aansuon ko pi jaana
koi to raaz hai ai 'ramz' aise jine mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.