nigah yunhi na bas rahguzar se wapas aa
nigāh yūñhī na bas rahguzar se vāpas aa
murassā ho ke hadoñ kī ḳhabar se vāpas aa
tū mujh se haT ke kahīñ aur kyoñ rahe āḳhir
nikal ke manzar-e-dīvār-o-dar se vāpas aa
agar haiñ dekhnā apnī tajalliyāñ mujh meñ
utar ke nuur kā dariyā qamar se vāpas aa
falak pe baiThā huā jaane kaun hai mujh se
ye kah rahā hai ki tū bahr-o-bar se vāpas aa
sukūn-o-amn kā sāhil hai muntazir terā
mirī hayāt kī kashtī bhañvar se vāpas aa
tū us ko bhiiḌ meñ har chand pā nahīñ saktā
ḳhudā milegā ḳhudāoñ ke ghar se vāpas aa
vafā kitāb meñ paḌh le vafā ke ḳhvāb na dekh
tū 'ehtishām' ḳhayālī safar se vāpas aa
nigah yunhi na bas rahguzar se wapas aa
murassa ho ke hadon ki KHabar se wapas aa
tu mujh se haT ke kahin aur kyon rahe aaKHir
nikal ke manzar-e-diwar-o-dar se wapas aa
agar hain dekhna apni tajalliyan mujh mein
utar ke nur ka dariya qamar se wapas aa
falak pe baiTha hua jaane kaun hai mujh se
ye kah raha hai ki tu bahr-o-bar se wapas aa
sukun-o-amn ka sahil hai muntazir tera
meri hayat ki kashti bhanwar se wapas aa
tu us ko bhiD mein har chand pa nahin sakta
KHuda milega KHudaon ke ghar se wapas aa
wafa kitab mein paDh le wafa ke KHwab na dekh
tu 'ehtisham' KHayali safar se wapas aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.