nigahon hi nigahon mein ishaare hote jate hain
nigāhoñ hī nigāhoñ meñ ishāre hote jaate haiñ
vo ab āhista āhista hamāre hote jaate haiñ
jo zāhir husn ke rangīñ nazāre hote jaate haiñ
nigāh-e-shauq meñ vo aur pyāre hote jaate haiñ
ḳhudā rakkhe havādis ko talātum ko masā.ib ko
hamārī zindagānī ke sahāre hote jaate haiñ
tumhāre ġham ne aisā ehtirām-e-ġham sikhāyā hai
ki duniyā bhar ke ġham saare hamāre hote jaate haiñ
tasallī bhī baḌī mushkil se miltī hai tasavvur meñ
ġhalat-fahmī salāmat vo hamāre hote jaate haiñ
jahāñ soz-e-ġham-e-furqat fazā-e-dil ko jhulsā de
vahāñ ḳhush-rang aañsū bhī sharāre hote jaate haiñ
tire jalvoñ ne aisī tarbiyat dī hai nigāhoñ ko
nazar meñ jazb ab saare nazāre hote jaate haiñ
gudāz-e-qalb kī daulat atā kī hai mohabbat ne
bahut shā.ista tere ġham ke maare hote jaate haiñ
koī shai jal rahī hai ġhāliban siine meñ ai 'aḳhtar'
ki mere shabnamī aañsū sharāre hote jaate haiñ
nigahon hi nigahon mein ishaare hote jate hain
wo ab aahista aahista hamare hote jate hain
jo zahir husn ke rangin nazare hote jate hain
nigah-e-shauq mein wo aur pyare hote jate hain
KHuda rakkhe hawadis ko talatum ko masaib ko
hamari zindagani ke sahaare hote jate hain
tumhaare gham ne aisa ehtiram-e-gham sikhaya hai
ki duniya bhar ke gham sare hamare hote jate hain
tasalli bhi baDi mushkil se milti hai tasawwur mein
ghalat-fahmi salamat wo hamare hote jate hain
jahan soz-e-gham-e-furqat faza-e-dil ko jhulsa de
wahan KHush-rang aansu bhi sharare hote jate hain
tere jalwon ne aisi tarbiyat di hai nigahon ko
nazar mein jazb ab sare nazare hote jate hain
gudaz-e-qalb ki daulat ata ki hai mohabbat ne
bahut shaista tere gham ke mare hote jate hain
koi shai jal rahi hai ghaaliban sine mein ai 'aKHtar'
ki mere shabnami aansu sharare hote jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.