nigahon ko bala ki tishnagi hai
nigāhoñ ko balā kī tishnagī hai
unheñ dekhe baḌī muddat huī hai
ḳhudā-hāfiz tirā ai rāhat-e-dil
tabī.at phir kisī par aa ga.ī hai
tamanna yaas hasrat be-qarārī
hamāre paas kis shai kī kamī hai
javānī meñ ḳhayāl-e-tark-e-ulfat
haqīqat meñ sarāsar ḳhud-kushī hai
mohabbat ko tirī kyoñ kar bhulā duuñ
isī par inhisār-e-zindagī hai
mohabbat hī faqat hai jāvedānī
yahāñ hai aur jo kuchh aarzī hai
guzārī umr jis kī justujū meñ
ġhazab hai vo abhī tak ajnabī hai
kisī ke dil meñ apnā ghar banā lo
bahut hī muḳhtasar ye zindagī hai
mire haq meñ to qātil se nahīñ kam
jise duniyā masīhā kah rahī hai
'bahār' ab aur kyā hai paas apne
yahī le de ke sher-o-shā.erī hai
nigahon ko bala ki tishnagi hai
unhen dekhe baDi muddat hui hai
KHuda-hafiz tera ai rahat-e-dil
tabiat phir kisi par aa gai hai
tamanna yas hasrat be-qarari
hamare pas kis shai ki kami hai
jawani mein KHayal-e-tark-e-ulfat
haqiqat mein sarasar KHud-kushi hai
mohabbat ko teri kyon kar bhula dun
isi par inhisar-e-zindagi hai
mohabbat hi faqat hai jawedani
yahan hai aur jo kuchh aarzi hai
guzari umr jis ki justuju mein
ghazab hai wo abhi tak ajnabi hai
kisi ke dil mein apna ghar bana lo
bahut hi muKHtasar ye zindagi hai
mere haq mein to qatil se nahin kam
jise duniya masiha kah rahi hai
'bahaar' ab aur kya hai pas apne
yahi le de ke sher-o-shaeri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.