nigahon ko KHala mein zehn ko daftar mein rakh denge
nigahon ko KHala mein zehn ko daftar mein rakh denge
Zaheer Ghazipuri
MORE BYZaheer Ghazipuri
nigāhoñ ko ḳhalā meñ zehn ko daftar meñ rakh deñge
magar apne masā.il ghar ke haiñ ham ghar meñ rakh deñge
sulagte zehn zaḳhmī fikr nam āñkheñ pareshāñ dil
ham ik ik chiiz apne sher ke paikar meñ rakh deñge
matā-e-fikr-e-nau jab zehn-e-ḳhvābīda meñ rakhnī hai
to ham ḳhūn-e-qalam bhī us ke pas-manzar meñ rakh deñge
ham aise dānish-o-afkār vaale haiñ ki jab chāheñ
sharar shīshe meñ rakh deñge lahū patthar meñ rakh deñge
badal jā.egā andāz-e-nazar raushan-ḳhayāloñ kā
agar ham raat kī ḳhush-paikarī sāġhar meñ rakh deñge
lahū ban kar jo bahtā hai makāñ ban kar jo jaltā hai
vo andesha bhī ham ehsās kī chādar meñ rakh deñge
khulī āñkhoñ se dekhe jā.eñge sūraj ke āñgan meñ
kuchh aise ḳhvāb ham alfāz ke paikar meñ rakh deñge
tahī-dastī hī jab apnā muqaddar bantī jā.egī
yaqīñ kā saarā sarmāya gumāñ ke ghar meñ rakh deñge
shu.ūr-o-fan jise chhū kar fazā meñ nuur barsā.eñ
ik aisī shai bhī ham mafhūm ke daftar meñ rakh deñge
nigahon ko KHala mein zehn ko daftar mein rakh denge
magar apne masail ghar ke hain hum ghar mein rakh denge
sulagte zehn zaKHmi fikr nam aankhen pareshan dil
hum ek ek chiz apne sher ke paikar mein rakh denge
mata-e-fikr-e-nau jab zehn-e-KHwabida mein rakhni hai
to hum KHun-e-qalam bhi us ke pas-manzar mein rakh denge
hum aise danish-o-afkar wale hain ki jab chahen
sharar shishe mein rakh denge lahu patthar mein rakh denge
badal jaega andaz-e-nazar raushan-KHayalon ka
agar hum raat ki KHush-paikari saghar mein rakh denge
lahu ban kar jo bahta hai makan ban kar jo jalta hai
wo andesha bhi hum ehsas ki chadar mein rakh denge
khuli aankhon se dekhe jaenge suraj ke aangan mein
kuchh aise KHwab hum alfaz ke paikar mein rakh denge
tahi-dasti hi jab apna muqaddar banti jaegi
yaqin ka sara sarmaya guman ke ghar mein rakh denge
shuur-o-fan jise chhu kar faza mein nur barsaen
ek aisi shai bhi hum mafhum ke daftar mein rakh denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.