nigar-e-husn ko had se farawan kaun dekhega
nigar-e-husn ko had se farawan kaun dekhega
Bishan Dayal Shad Dehlvi
MORE BYBishan Dayal Shad Dehlvi
nigār-e-husn ko had se farāvāñ kaun dekhegā
nigāh-e-shauq ko apnī pareshāñ kaun dekhegā
sanam-ḳhāne meñ shakl-e-zabt-e-armāñ kaun dekhegā
tumhāre sāmne tasvīr-e-be-jāñ kaun dekhegā
na dekhūñ maiñ to husn-e-'ishq-sāmāñ kaun dekhegā
sukūñ kī justujū meñ nabz-e-tūfāñ kaun dekhegā
kahegā kaun in ko jān-e-jānāñ kaun dekhegā
na hoñge baam se jab tak numāyāñ kaun dekhegā
ba-nutq-e-soz-e-bāqī kah rahī hai ḳhāk-e-parvāna
nasīb-e-sham' ab andāz-e-sozāñ kaun dekhegā
shu'ūr-e-parda-dārī dar-haqīqat jaan rakhtā hai
sar-e-mahfil unheñ bā-shart-e-īmāñ kaun dekhegā
jahāñ rangīnī-e-hūr-o-tahūrā sar-basar hogī
vahāñ ġhammāzī-e-ḳhushkī-e-īmāñ kaun dekhegā
ġham-e-hastī kā mātam hī agar madd-e-nazar hogā
zarā sā hosh se le luñgā ehsāñ kaun dekhegā
diye raushan kiye haiñ aaj mehrāb-e-tamannā par
jo tum dekho na dekho ye charāġhāñ kaun dekhegā
qiyām-e-mustaqil dil meñ nahīñ shāyān-e-shāñ tāham
barā.e-nām hī ho jaao mehmāñ kaun dekhegā
mazāq-e-'shād' kī nigrāñ rahe chashm-e-karam varna
nigāh-e-dil ko yaksar naqsh-e-hairāñ kaun dekhegā
nigar-e-husn ko had se farawan kaun dekhega
nigah-e-shauq ko apni pareshan kaun dekhega
sanam-KHane mein shakl-e-zabt-e-arman kaun dekhega
tumhaare samne taswir-e-be-jaan kaun dekhega
na dekhun main to husn-e-'ishq-saman kaun dekhega
sukun ki justuju mein nabz-e-tufan kaun dekhega
kahega kaun in ko jaan-e-jaanan kaun dekhega
na honge baam se jab tak numayan kaun dekhega
ba-nutq-e-soz-e-baqi kah rahi hai KHak-e-parwana
nasib-e-sham' ab andaz-e-sozan kaun dekhega
shu'ur-e-parda-dari dar-haqiqat jaan rakhta hai
sar-e-mahfil unhen ba-shart-e-iman kaun dekhega
jahan rangini-e-hur-o-tahura sar-basar hogi
wahan ghammazi-e-KHushki-e-iman kaun dekhega
gham-e-hasti ka matam hi agar madd-e-nazar hoga
zara sa hosh se le lunga ehsan kaun dekhega
diye raushan kiye hain aaj mehrab-e-tamanna par
jo tum dekho na dekho ye charaghan kaun dekhega
qiyam-e-mustaqil dil mein nahin shayan-e-shan taham
barae-nam hi ho jao mehman kaun dekhega
mazaq-e-'shad' ki nigran rahe chashm-e-karam warna
nigah-e-dil ko yaksar naqsh-e-hairan kaun dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.