nigar-e-paikar-e-farda mein Dhal ke dekhte hain
nigār-e-paikar-e-fardā meñ Dhal ke dekhte haiñ
ham apne vaqt se aage nikal ke dekhte haiñ
tumhārī aañkh meñ tevar ġhazal ke dekhte haiñ
isī liye tumheñ pahlū badal ke dekhte haiñ
sunā hai surḳh-rū hone kā ye tarīqa hai
so tere ishq kī ātish meñ jal ke dekhte haiñ
hamīñ haiñ ek jo lipTe haiñ apne maazī se
jahāñ meñ varna sabhī ḳhvāb kal ke dekhte haiñ
ye dekhte haiñ ki kahte haiñ log kyā ham ko
mizāj-e-vaqt ke sāñche meñ Dhal ke dekhte haiñ
jamāl-e-yār kī tābish are ma.āz-allāh
unheñ jo dekhte haiñ vo sambhal ke dekhte haiñ
nigar-e-paikar-e-farda mein Dhal ke dekhte hain
hum apne waqt se aage nikal ke dekhte hain
tumhaari aankh mein tewar ghazal ke dekhte hain
isi liye tumhein pahlu badal ke dekhte hain
suna hai surKH-ru hone ka ye tariqa hai
so tere ishq ki aatish mein jal ke dekhte hain
hamin hain ek jo lipTe hain apne mazi se
jahan mein warna sabhi KHwab kal ke dekhte hain
ye dekhte hain ki kahte hain log kya hum ko
mizaj-e-waqt ke sanche mein Dhal ke dekhte hain
jamal-e-yar ki tabish are maaz-allah
unhen jo dekhte hain wo sambhal ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.