nigar-e-ulfat pe khulta paikar kahin nahin hai koi nahin hai
nigar-e-ulfat pe khulta paikar kahin nahin hai koi nahin hai
Imtiyaz Kavish
MORE BYImtiyaz Kavish
nigār-e-ulfat pe khultā paikar kahīñ nahīñ hai koī nahīñ hai
sabhī haiñ rahzan pe apnā rahbar kahīñ nahīñ hai koī nahīñ hai
mujhe mohabbat hai tum se ye to bajā hai lekin ai mere dilbar
mirī mohabbat ke gul kā mehvar kahīñ nahīñ hai koī nahīñ hai
maiñ tishna-lab huuñ shikasta-pā huuñ darīda-tan huuñ tire nagar meñ
bujhā.e jo tishnagī vo sāġhar kahīñ nahīñ hai koī nahīñ hai
tamām duniyā ke gulsitāñ to mirī nazar meñ base haiñ lekin
tumhāre jaisā hasīn manzar kahīñ nahīñ hai koī nahīñ hai
maiñ bām-o-dar kā makīñ huuñ lekin hai dasht-e-vīrāñ mire jigar meñ
bhare zamāne meñ mujh sā be-ghar kahīñ nahīñ hai koī nahīñ hai
jo mere ḳhāshāk se kaf-e-dil ko gul banā.e sajā ke rakkhe
mire muqaddar kā vo sikandar kahīñ nahīñ hai koī nahīñ hai
kahāñ ko jā.ūñ kahāñ se lā.ūñ maiñ tere jaisā saḳhī-o-ā'lā
tirā to saaya bhī is zamīñ par kahīñ nahīñ hai koī nahīñ hai
nigar-e-ulfat pe khulta paikar kahin nahin hai koi nahin hai
sabhi hain rahzan pe apna rahbar kahin nahin hai koi nahin hai
mujhe mohabbat hai tum se ye to baja hai lekin ai mere dilbar
meri mohabbat ke gul ka mehwar kahin nahin hai koi nahin hai
main tishna-lab hun shikasta-pa hun darida-tan hun tere nagar mein
bujhae jo tishnagi wo saghar kahin nahin hai koi nahin hai
tamam duniya ke gulsitan to meri nazar mein base hain lekin
tumhaare jaisa hasin manzar kahin nahin hai koi nahin hai
main baam-o-dar ka makin hun lekin hai dasht-e-viran mere jigar mein
bhare zamane mein mujh sa be-ghar kahin nahin hai koi nahin hai
jo mere KHashak se kaf-e-dil ko gul banae saja ke rakkhe
mere muqaddar ka wo sikandar kahin nahin hai koi nahin hai
kahan ko jaun kahan se laun main tere jaisa saKHi-o-a'la
tera to saya bhi is zamin par kahin nahin hai koi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.