nigar-e-zindagani mein sahaare lauT kar aae
nigār-e-zindagānī meñ sahāre lauT kar aa.e
fasīl-e-shām par raushan sitāre lauT kar aa.e
tumhārā saath merī saltanat kā ik ḳhazāna thā
tumhāre chhoḌ jaane par ḳhasāre lauT kar aa.e
jo Dhaltī umr kī had par nayā ahd-e-vafā bāñdhā
ḳhizāoñ se bahāroñ ke nazāre lauT kar aa.e
vo jin ko pyaar thā apne vatan ke zarre zarre se
vo maañ kī jholiyoñ meñ kab dulāre lauT kar aa.e
na toḌā rishta-e-ummīd tund-o-tez maujoñ meñ
bhañvar meñ nāḳhudā ban kar kināre lauT kar aa.e
charāġh-e-nīm-jāñ ab laḌ rahā hai āḳhirī pal se
ġhanīmat hai mohabbat ke ishāre lauT kar aa.e
maiñ 'tābish' muddatoñ se barf kī bastī kā baasī huuñ
maiñ ḳhush huuñ merī jānib jo sharāre lauT kar aa.e
nigar-e-zindagani mein sahaare lauT kar aae
fasil-e-sham par raushan sitare lauT kar aae
tumhaara sath meri saltanat ka ek KHazana tha
tumhaare chhoD jaane par KHasare lauT kar aae
jo Dhalti umr ki had par naya ahd-e-wafa bandha
KHizaon se bahaaron ke nazare lauT kar aae
wo jin ko pyar tha apne watan ke zarre zarre se
wo man ki jholiyon mein kab dulare lauT kar aae
na toDa rishta-e-ummid tund-o-tez maujon mein
bhanwar mein naKHuda ban kar kinare lauT kar aae
charagh-e-nim-jaan ab laD raha hai aaKHiri pal se
ghanimat hai mohabbat ke ishaare lauT kar aae
main 'tabish' muddaton se barf ki basti ka basi hun
main KHush hun meri jaanib jo sharare lauT kar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.