nigah-e-lutf-o-inayat ka sila le jao
nigah-e-lutf-o-ināyat kā sila le jaao
dil se niklī hai jo mere vo du'ā le jaao
lab pe na.ara hai mohabbat kā magar dil meñ fareb
mujh ko is bazm se lillāh uThā le jaao
ishq ko zinda-e-jāved banānā hai agar
kū-e-mahbūb se jiine kī adā le jaao
bhuul kar bhī sitam-e-yār kā shikva na karo
mujh se ai bul-havaso dars-e-vafā le jaao
pākbāzān-e-haram aur tū maiḳhāne meñ
ġhair mumkin hai ki dāman ko bachā le jaao
muskurānā hai jo gulzār kī dil-kash kaliyo
lab-e-jānāñ se tabassum kī adā le jaao
ai havāo na taḌap jaa.eñ vo sunte hī kahīñ
mere TuuTe hue dil kī na sadā le jaao
'shā.ir' afsos hai mai pī ke bahak jaate ho
mai-kade se kahīñ tum bhī na nikāle jaao
nigah-e-lutf-o-inayat ka sila le jao
dil se nikli hai jo mere wo du'a le jao
lab pe nara hai mohabbat ka magar dil mein fareb
mujh ko is bazm se lillah uTha le jao
ishq ko zinda-e-jawed banana hai agar
ku-e-mahbub se jine ki ada le jao
bhul kar bhi sitam-e-yar ka shikwa na karo
mujh se ai bul-hawaso dars-e-wafa le jao
pakbazan-e-haram aur tu maiKHane mein
ghair mumkin hai ki daman ko bacha le jao
muskurana hai jo gulzar ki dil-kash kaliyo
lab-e-jaanan se tabassum ki ada le jao
ai hawao na taDap jaen wo sunte hi kahin
mere TuTe hue dil ki na sada le jao
'shair' afsos hai mai pi ke bahak jate ho
mai-kade se kahin tum bhi na nikale jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.