nigah-e-naz kare shauq se barbaad mujhe
nigah-e-nāz kare shauq se barbād mujhe
hai mirā zauq-e-nazar māna-e-fariyād mujhe
sūrat-e-hazf miTā ai sitam-ījād mujhe
lab-e-tasvīr huuñ aatī nahīñ fariyād mujhe
haa.e vo ahd-e-tamannā vo mirā jazba-e-shauq
aisā bhūlā hai ki aatā hī nahīñ yaad mujhe
DhūñDhtā huuñ nazar aatā nahīñ us kā jalva
shauq-e-dīdār kiye detā hai barbād mujhe
ham-nafas bas mirī rūdād-e-tabāhī ye hai
rahm aayā unheñ jab kar chuke barbād mujhe
tire iqrār-e-vafā ko vo mirā dohrānā
vo tirā naaz se kahnā ki nahīñ yaad mujhe
saḳht majbūr huuñ maiñ zabt-e-alam se 'sāqib'
ḳhud mirī aah na kar de kahīñ barbād mujhe
nigah-e-naz kare shauq se barbaad mujhe
hai mera zauq-e-nazar mana-e-fariyaad mujhe
surat-e-hazf miTa ai sitam-ijad mujhe
lab-e-taswir hun aati nahin fariyaad mujhe
hae wo ahd-e-tamanna wo mera jazba-e-shauq
aisa bhula hai ki aata hi nahin yaad mujhe
DhunDhta hun nazar aata nahin us ka jalwa
shauq-e-didar kiye deta hai barbaad mujhe
ham-nafas bas meri rudad-e-tabahi ye hai
rahm aaya unhen jab kar chuke barbaad mujhe
tere iqrar-e-wafa ko wo mera dohrana
wo tera naz se kahna ki nahin yaad mujhe
saKHt majbur hun main zabt-e-alam se 'saqib'
KHud meri aah na kar de kahin barbaad mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.