nigah ka tir tum maro to dil ka muddaa nikle
nigah kā tiir tum maaro to dil kā mudda.ā nikle
tumhārā naam ho jaa.e hamārā hausla nikle
sitam par ho sitam terā jafā par ho jafā terī
magar merī duā ye hai tire haq meñ duā nikle
tire tīr-e-nigāh par dil bhī sadqe jaan bhī qurbāñ
tirā andāz mere haq meñ paiġhām-e-qazā nikle
na thī pahle shanāsā.ī magar āñkhoñ ke milte hī
hamāre dil ko le kar aap to ab dilrubā nikle
yahī armān dil kā hai yahī hasrat hai muddat se
tumhāre pā-e-nāzuk par mirī jaañ dam mirā nikle
bahut hañste the ham 'sanjar' ki tum shaidā butoñ ke ho
magar zāhir meñ dekhā tum ko to tum bā-ḳhudā nikle
nigah ka tir tum maro to dil ka muddaa nikle
tumhaara nam ho jae hamara hausla nikle
sitam par ho sitam tera jafa par ho jafa teri
magar meri dua ye hai tere haq mein dua nikle
tere tir-e-nigah par dil bhi sadqe jaan bhi qurban
tera andaz mere haq mein paigham-e-qaza nikle
na thi pahle shanasai magar aankhon ke milte hi
hamare dil ko le kar aap to ab dilruba nikle
yahi arman dil ka hai yahi hasrat hai muddat se
tumhaare pa-e-nazuk par meri jaan dam mera nikle
bahut hanste the hum 'sanjar' ki tum shaida buton ke ho
magar zahir mein dekha tum ko to tum ba-KHuda nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.