nigah laDane ke aage uski hai naz karti paDi lagawaT
nigah laDane ke aage uski hai naz karti paDi lagawaT
Nazeer Akbarabadi
MORE BYNazeer Akbarabadi
nigah laḌāne ke aage us kī hai naaz kartī paḌī lagāvaT
hinā dikhāne ke sāmne bhī hai dast-basta khaḌī lagāvaT
dikhā ke chiiñ ko jabīñ ke uupar use to kuchh husn hai dikhātā
jo sāda-dil ho to samjhe ḳhafgī aur us kī hai vo baḌī lagāvaT
chhaḌī uThātā hai jab vo gul kī to hai kuchh us meñ bhī gul khilātā
lagā de tan par vo jis ke hañs kar to vo chhaḌī hai chhaḌī lagāvaT
ḳhafā ho jis se to vo ye jaane ki mujh se rūThā bas ab vo lekin
phañsā vo phande meñ muddatoñ ko jahāñ tak us kī laḌī lagāvaT
'nazīr' dil ko bachāve yaaro kab us sanam se ki jis meñ hove
ghaḌī machalnā ghaḌī chahaknā ghaḌī jhijaknā ghaḌī lagāvaT
nigah laDane ke aage us ki hai naz karti paDi lagawaT
hina dikhane ke samne bhi hai dast-basta khaDi lagawaT
dikha ke chin ko jabin ke upar use to kuchh husn hai dikhata
jo sada-dil ho to samjhe KHafgi aur us ki hai wo baDi lagawaT
chhaDi uThata hai jab wo gul ki to hai kuchh us mein bhi gul khilata
laga de tan par wo jis ke hans kar to wo chhaDi hai chhaDi lagawaT
KHafa ho jis se to wo ye jaane ki mujh se ruTha bas ab wo lekin
phansa wo phande mein muddaton ko jahan tak us ki laDi lagawaT
'nazir' dil ko bachawe yaro kab us sanam se ki jis mein howe
ghaDi machalna ghaDi chahakna ghaDi jhijakna ghaDi lagawaT
- Deewan-e-Nazeer Akbarabadi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.