nihaal-e-umr se be-waqt jhaDne walon ko
nihāl-e-umr se be-vaqt jhaḌne vāloñ ko
sabā vidā.a na karnā bichhaḌne vāloñ ko
udāsiyāñ bhī muqaddas agar tasarruf ho
firāq izn-e-hunar hai ujaḌne vāloñ ko
kahāñ utaar gayā sail-e-rang kyā mālūm
na.ī rutoñ meñ jaḌoñ se ukhaḌne vāloñ ko
gharoñ kī yaad dilātī hai kasmasātī havā
dayār-e-ġhair meñ ujrat pe laḌne vāloñ ko
duā karo ki ḳhudā silsila bahāl rakhe
uThā rahī hai zamīñ paañv paḌne vāloñ ko
nujūm bujhte hī palkoñ kī chhāñv meñ āñkheñ
duā.eñ detī haiñ yāqūt jaḌne vāloñ ko
nihaal-e-umr se be-waqt jhaDne walon ko
saba widaa na karna bichhaDne walon ko
udasiyan bhi muqaddas agar tasarruf ho
firaq izn-e-hunar hai ujaDne walon ko
kahan utar gaya sail-e-rang kya malum
nai ruton mein jaDon se ukhaDne walon ko
gharon ki yaad dilati hai kasmasati hawa
dayar-e-ghair mein ujrat pe laDne walon ko
dua karo ki KHuda silsila bahaal rakhe
uTha rahi hai zamin panw paDne walon ko
nujum bujhte hi palkon ki chhanw mein aankhen
duaen deti hain yaqut jaDne walon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.