nili aankhon mein dhanak-KHwab ki pahnai hai
niilī āñkhoñ meñ dhanak-ḳhvāb kī pahnā.ī hai
kis samundar se havā buuñd churā laa.ī hai
chāñd ne us kī kalā.ī pe jo bāñdhī thī kiran
gaañv kī shaam use shahr meñ kho aa.ī hai
zard shelfoñ meñ na rakh sabz kitābeñ itnī
yahī is mausam-e-be-faiz meñ dānā.ī hai
kal kī bārish meñ parinde kahāñ so.e hoñge
aaj kī dhuup isī sharm se dhuñdlā.ī hai
raat jugnū ke ta.āqub meñ ga.ī thī lekin
apne māthe ke sitāre bhī gañvā aa.ī hai
nili aankhon mein dhanak-KHwab ki pahnai hai
kis samundar se hawa bund chura lai hai
chand ne us ki kalai pe jo bandhi thi kiran
ganw ki sham use shahr mein kho aai hai
zard shelfon mein na rakh sabz kitaben itni
yahi is mausam-e-be-faiz mein danai hai
kal ki barish mein parinde kahan soe honge
aaj ki dhup isi sharm se dhundlai hai
raat jugnu ke taaqub mein gai thi lekin
apne mathe ke sitare bhi ganwa aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.