niim ke us peḌ se utrā hai jin
phir kisī ke ḳhuun kā pyāsā hai jin
ghar meñ jitne log the vo khā gayā
maiñ bachā huuñ par abhī bhūkā hai jin
phūñktā huuñ paḌh ke saarī āyateñ
aur mujh ko dekh ke hañstā hai jin
kūdtā hai raat bhar vo sahn meñ
har jagah ghar meñ mire phirtā hai jin
raat Daa.in hai machāñ se jhūltī
aur is ke saath hī laTkā hai jin
ghar kī ik dīvār meñ sūrāḳh thā
haañ isī sūrāḳh se niklā hai jin
dekh lenā ab nahīñ chhoḌegā vo
ab mire siine pe chaḌh baiThā hai jin
nim ke us peD se utra hai jin
phir kisi ke KHun ka pyasa hai jin
ghar mein jitne log the wo kha gaya
main bacha hun par abhi bhuka hai jin
phunkta hun paDh ke sari aayaten
aur mujh ko dekh ke hansta hai jin
kudta hai raat bhar wo sahn mein
har jagah ghar mein mere phirta hai jin
raat Dain hai machan se jhulti
aur is ke sath hi laTka hai jin
ghar ki ek diwar mein suraKH tha
han isi suraKH se nikla hai jin
dekh lena ab nahin chhoDega wo
ab mere sine pe chaDh baiTha hai jin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.