nind aankhon mein bhari raat ganwai bhi nahin
niiñd āñkhoñ meñ bharī raat gañvā.ī bhī nahīñ
daulat-e-ḳhvāb magar ham ne kamā.ī bhī nahīñ
kaise āshob-e-ḳhamoshī meñ ghirī hai bastī
naġhma-e-dil nahīñ āshufta-navā.ī bhī nahīñ
maiñ hī tanhā thā har ik sang-e-malāmat kā hadaf
us jafā-kār pe angusht-numā.ī bhī nahīñ
kaun sādāt gharāne ke haiñ ham log miyāñ
zillat-e-‘ishq uThānā thī uThā.ī bhī nahīñ
jaane kis dhyān meñ gum-sum vo sar-e-bazm rahā
vajd-āvar thī ġhazal us ne sunā.ī bhī nahīñ
chhūT jaane kā lagā rahtā hai dhaḌkā 'sāqib'
jab ki raftār-e-safar us ne baḌhā.ī bhī nahīñ
nind aankhon mein bhari raat ganwai bhi nahin
daulat-e-KHwab magar hum ne kamai bhi nahin
kaise aashob-e-KHamoshi mein ghiri hai basti
naghma-e-dil nahin aashufta-nawai bhi nahin
main hi tanha tha har ek sang-e-malamat ka hadaf
us jafa-kar pe angusht-numai bhi nahin
kaun sadat gharane ke hain hum log miyan
zillat-e-‘ishq uThana thi uThai bhi nahin
jaane kis dhyan mein gum-sum wo sar-e-bazm raha
wajd-awar thi ghazal us ne sunai bhi nahin
chhuT jaane ka laga rahta hai dhaDka 'saqib'
jab ki raftar-e-safar us ne baDhai bhi nahin
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 35)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.