nind achchhi hai ki kuchh KHwab nikal aate hain
niiñd achchhī hai ki kuchh ḳhvāb nikal aate haiñ
aur ham ho ke bhī ġharqāb nikal aate haiñ
raat marne hī kī tayyārī meñ kaT jaatī hai
sub.h phir jiine ke asbāb nikal aate haiñ
ham jo ġhusse meñ bipharte haiñ to rab shāhid hai
ḳhāndānī adab-ādāb nikal aate haiñ
āsmānoñ kī bulandī se hamārī jānib
kuchh parinde baḌe nāyāb nikal aate haiñ
us ko miltā huuñ to aksar yahī hotā hai 'asar'
jaane kis samt se ahbāb nikal aate haiñ
nind achchhi hai ki kuchh KHwab nikal aate hain
aur hum ho ke bhi gharqab nikal aate hain
raat marne hi ki tayyari mein kaT jati hai
subh phir jine ke asbab nikal aate hain
hum jo ghusse mein bipharte hain to rab shahid hai
KHandani adab-adab nikal aate hain
aasmanon ki bulandi se hamari jaanib
kuchh parinde baDe nayab nikal aate hain
us ko milta hun to aksar yahi hota hai 'asar'
jaane kis samt se ahbab nikal aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.