nind bhi gahri hai aur gahri hai thoDi raat bhi
niiñd bhī gahrī hai aur gahrī hai thoḌī raat bhī
aur sitam is par ye hai ki sard haiñ jazbāt bhī
aisā koī dīda-var ho to mujhe batlā.īye
dekh kar paḌh le mire chehre se jo hālāt bhī
pahle merī raah meñ kāñTe bichhā.e be-shumār
phuul kī phir de gayā hai vo mujhe sauġhāt bhī
giḌgiḌā kar maiñ ne rab se māñgī hai bas ye du'ā
haath bhī māñgā tumhārā aur tumhārā saath bhī
pahle merī maañ ne mere haq meñ kī dil se du'ā
muskurā kar rakh diyā phir sar pe mere haath bhī
maiñ isī ik fikr meñ Duubā huā huuñ āj-kal
zahr kyoñ lagtī hai 'ahmad' us ko merī baat bhī
nind bhi gahri hai aur gahri hai thoDi raat bhi
aur sitam is par ye hai ki sard hain jazbaat bhi
aisa koi dida-war ho to mujhe batlaiye
dekh kar paDh le mere chehre se jo haalat bhi
pahle meri rah mein kanTe bichhae be-shumar
phul ki phir de gaya hai wo mujhe saughat bhi
giDgiDa kar main ne rab se mangi hai bas ye du'a
hath bhi manga tumhaara aur tumhaara sath bhi
pahle meri man ne mere haq mein ki dil se du'a
muskura kar rakh diya phir sar pe mere hath bhi
main isi ek fikr mein Duba hua hun aaj-kal
zahr kyon lagti hai 'ahmad' us ko meri baat bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.