nind ke raushan bab ki ab bhi gunjaish hai
niiñd ke raushan baab kī ab bhī gunjā.ish hai
āñkhoñ meñ ik ḳhvāb kī ab bhī gunjā.ish hai
gāñv-numā ghar shahr meñ laakh banāyā lekin
āñgan dar mehrāb kī ab bhī gunjā.ish hai
mujh ko dukh dene vāloñ māyūs na honā
āñkhoñ meñ sailāb kī ab bhī gunjā.ish hai
raat ke dāman meñ raushan haiñ kitne jugnū
lekin ik mahtāb kī ab bhī gunjā.ish hai
sāhil par aa kar bhī aisā kyoñ lagtā hai
jaise ik girdāb kī ab bhī gunjā.ish hai
nayā zamāna ham ko bhī taslīm hai lekin
un pichhle ādāb kī ab bhī gunjā.ish hai
chīḳh rahī hai ziist ke dariyā kī ḳhamoshī
ik mauj-e-betāb kī ab bhī gunjā.ish hai
nind ke raushan bab ki ab bhi gunjaish hai
aankhon mein ek KHwab ki ab bhi gunjaish hai
ganw-numa ghar shahr mein lakh banaya lekin
aangan dar mehrab ki ab bhi gunjaish hai
mujh ko dukh dene walon mayus na hona
aankhon mein sailab ki ab bhi gunjaish hai
raat ke daman mein raushan hain kitne jugnu
lekin ek mahtab ki ab bhi gunjaish hai
sahil par aa kar bhi aisa kyon lagta hai
jaise ek girdab ki ab bhi gunjaish hai
naya zamana hum ko bhi taslim hai lekin
un pichhle aadab ki ab bhi gunjaish hai
chiKH rahi hai zist ke dariya ki KHamoshi
ek mauj-e-betab ki ab bhi gunjaish hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.