nind ke zindan mein koi rasta banne laga
nind ke zindan mein koi rasta banne laga
Mohammad Iftikharul Haq Samaj
MORE BYMohammad Iftikharul Haq Samaj
niiñd ke zindāñ meñ koī rāsta banñe lagā
ḳhvāb imkāñ ke darīche kī havā banñe lagā
jab miTā.e aur abjad ājizī ke haath ne
rafta rafta dil mirā harf-e-duā banñe lagā
vāqi.oñ kī Dor meñ kuchh der girheñ Daal kar
vaqt pīchhe haT gayā aur hādisa banñe lagā
dūsroñ se ek jaisā fāsla rakhte hue
maiñ ta.alluq ke safar meñ dā.era banñe lagā
zindagī kī aas ehrāmoñ meñ chakrāne lagī
bandagī kartā huā but jab ḳhudā banñe lagā
aks-e-imkāñ jam gayā ummīd kī dīvār par
jā-ba-jā dar kī jagah ik aa.ina banñe lagā
parvarish is dard kī mujh ko bahut mahñgī paḌī
dekhte hī dekhte jis kī ġhizā banñe lagā
vaqt kī tasvīr to puurī na ho paa.ī magar
ik nazāra aur manzar se varā banñe lagā
phir se ā.īn-e-havā par guftugū hone lagī
saañs lene ke liye kuliya nayā banñe lagā
nind ke zindan mein koi rasta banne laga
KHwab imkan ke dariche ki hawa banne laga
jab miTae aur abjad aajizi ke hath ne
rafta rafta dil mera harf-e-dua banne laga
waqion ki Dor mein kuchh der girhen Dal kar
waqt pichhe haT gaya aur hadisa banne laga
dusron se ek jaisa fasla rakhte hue
main talluq ke safar mein daera banne laga
zindagi ki aas ehramon mein chakrane lagi
bandagi karta hua but jab KHuda banne laga
aks-e-imkan jam gaya ummid ki diwar par
ja-ba-ja dar ki jagah ek aaina banne laga
parwarish is dard ki mujh ko bahut mahngi paDi
dekhte hi dekhte jis ki ghiza banne laga
waqt ki taswir to puri na ho pai magar
ek nazara aur manzar se wara banne laga
phir se aain-e-hawa par guftugu hone lagi
sans lene ke liye kuliya naya banne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.