nind mein raunaq-e-mahtab liye phirte hain
niiñd meñ raunaq-e-mahtāb liye phirte haiñ
apnī āñkhoñ meñ tire ḳhvāb liye phirte haiñ
ye tire dil se nikāle hue āshiq jānāñ
dar-ba-dar dīda-e-pur-āb liye phirte haiñ
jaane kis pal mire chehre kā bigaḌ jaa.e naqsh
apne hāthoñ meñ vo tezāb liye phirte haiñ
itnī vahshat hai ki ḳhāmosh samundar meñ ham
ḳhvāhish-e-gardish-e-girdāb liye phirte haiñ
ham faqīroñ kī to jholī meñ kabhī dekh 'zuhaib'
resham-o-atlas-o-kamḳhāb liye phirte haiñ
nind mein raunaq-e-mahtab liye phirte hain
apni aankhon mein tere KHwab liye phirte hain
ye tere dil se nikale hue aashiq jaanan
dar-ba-dar dida-e-pur-ab liye phirte hain
jaane kis pal mere chehre ka bigaD jae naqsh
apne hathon mein wo tezab liye phirte hain
itni wahshat hai ki KHamosh samundar mein hum
KHwahish-e-gardish-e-girdab liye phirte hain
hum faqiron ki to jholi mein kabhi dekh 'zuhaib'
resham-o-atlas-o-kamKHab liye phirte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.