nind mushkil se faqat ek ghaDi rahti hai
niiñd mushkil se faqat ek ghaḌī rahtī hai
phir mirī aañkh meñ ḳhvāboñ kī laḌī rahtī hai
dil vo sahrā hai jahāñ phuul khilā karte the
aañkh vo jhiil jahāñ os paḌī rahtī hai
yaad karne kā koī vaqt muqarrar hai bhalā
ye musībat to mire sar pe khaḌī rahtī hai
tujh se vaise to koī kaam nahīñ hai mujh ko
tujh se milne kī magar chaah baḌī rahtī hai
maiñ bahut zor se hañstā huuñ udāsī ke samay
aah chupke se kahīñ dil meñ gaḌī rahtī hai
dost āsānī se manzil to nahīñ mil saktī
kyoñ ki rastoñ pe yahāñ gard paḌī rahtī hai
vo bahut din se mire paas nahīñ hai rāshid
ek muddat se mirī chaa.e kaḌī rahtī hai
nind mushkil se faqat ek ghaDi rahti hai
phir meri aankh mein KHwabon ki laDi rahti hai
dil wo sahra hai jahan phul khila karte the
aankh wo jhil jahan os paDi rahti hai
yaad karne ka koi waqt muqarrar hai bhala
ye musibat to mere sar pe khaDi rahti hai
tujh se waise to koi kaam nahin hai mujh ko
tujh se milne ki magar chah baDi rahti hai
main bahut zor se hansta hun udasi ke samay
aah chupke se kahin dil mein gaDi rahti hai
dost aasani se manzil to nahin mil sakti
kyon ki raston pe yahan gard paDi rahti hai
wo bahut din se mere pas nahin hai rashid
ek muddat se meri chae kaDi rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.