nind palkon ke kinaron pe dhari rahti hai
niiñd palkoñ ke kināroñ pe dharī rahtī hai
ḳhvāb meñ sabz jazīre kī parī rahtī hai
jhaaḌ jhankār sā bikhrā huā rahtā hai dimāġh
shāḳh-e-dil par ka.ī yādoñ se harī rahtī hai
zehn ik hijr kī vahshat meñ dhañsā rahtā hai
jeb tanhā.ī ke sikkoñ se bharī rahtī hai
us kī Table pe ka.ī phuul saje rahte haiñ
farsh par paañv ke rakhne ko darī rahtī hai
us ko fursat nahīñ sunñe ko mirī baat koī
is liye zehn pe āshufta-sarī rahtī hai
dil dhaḌak uThtā hai har chaap pe shāyad vo ho
aañkh darvāze pe har vaqt dharī rahtī hai
dekhne ko to nazar aatī hai mazbūt bahut
ek kamsin magar andar se Darī rahtī hai
nind palkon ke kinaron pe dhari rahti hai
KHwab mein sabz jazire ki pari rahti hai
jhaD jhankar sa bikhra hua rahta hai dimagh
shaKH-e-dil par kai yaadon se hari rahti hai
zehn ek hijr ki wahshat mein dhansa rahta hai
jeb tanhai ke sikkon se bhari rahti hai
us ki Table pe kai phul saje rahte hain
farsh par panw ke rakhne ko dari rahti hai
us ko fursat nahin sunne ko meri baat koi
is liye zehn pe aashufta-sari rahti hai
dil dhaDak uThta hai har chap pe shayad wo ho
aankh darwaze pe har waqt dhari rahti hai
dekhne ko to nazar aati hai mazbut bahut
ek kamsin magar andar se Dari rahti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.