nind se aa kar baiTha hai
niiñd se aa kar baiThā hai
ḳhvāb mire ghar baiThā hai
aks mirā ā.īne meñ
le kar patthar baiThā hai
palkeñ jhukī haiñ sahrā kī
jis pe samundar baiThā hai
ek bagūlā yādoñ kā
khā kar chakkar baiThā hai
us kī nīndoñ par ik ḳhvāb
titlī ban kar baiThā hai
raat kī Table book kar ke
chāñd dinner par baiThā hai
añdhiyārā ḳhāmoshī kī
oḌh ke chādar baiThā hai
'ātish' dhuup ga.ī kab kī
ghar meñ kyūñkar baiThā hai
nind se aa kar baiTha hai
KHwab mere ghar baiTha hai
aks mera aaine mein
le kar patthar baiTha hai
palken jhuki hain sahra ki
jis pe samundar baiTha hai
ek bagula yaadon ka
kha kar chakkar baiTha hai
us ki nindon par ek KHwab
titli ban kar baiTha hai
raat ki Table book kar ke
chand dinner par baiTha hai
andhiyara KHamoshi ki
oDh ke chadar baiTha hai
'atish' dhup gai kab ki
ghar mein kyunkar baiTha hai
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 38)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.