nindon ko jab KHwab mein juta jata tha
nīndoñ ko jab ḳhvāb meñ juutā jaatā thā
maiñ bas apne nain bhigotā jaatā thā
āñchal kā ik phuul sharārat kartā thā
ik shahzāda patthar hotā jaatā thā
phuul duā-e-nūr sunāte the aur maiñ
us kī ḳhātir haar pirotā jaatā thā
ishq meñ ham ne jitne rañg apnā.e the
vahshī dhobī sab ko dhotā jaatā thā
paanī bharne ek kueñ par jaatī thī
us kā paanī mīThā hotā jaatā thā
merī hālat itnī abtar ho ga.ī kyā
kahte haiñ kal vo bhī rotā jaatā thā
maiñ 'mumtāz' gulāboñ jaisā hone ko
us kī ḳhushbū dil meñ botā jaatā thā
nindon ko jab KHwab mein juta jata tha
main bas apne nain bhigota jata tha
aanchal ka ek phul shararat karta tha
ek shahzada patthar hota jata tha
phul dua-e-nur sunate the aur main
us ki KHatir haar pirota jata tha
ishq mein hum ne jitne rang apnae the
wahshi dhobi sab ko dhota jata tha
pani bharne ek kuen par jati thi
us ka pani miTha hota jata tha
meri haalat itni abtar ho gai kya
kahte hain kal wo bhi rota jata tha
main 'mumtaz' gulabon jaisa hone ko
us ki KHushbu dil mein bota jata tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.