nindon se mere KHwab chura kar chala gaya
nīñdoñ se mere ḳhvāb churā kar chalā gayā
aaya mirī hayāt meñ aa kar chalā gayā
hamvār jis ke rāste kartī rahī sadā
kāñTe vo merī rah meñ bichhā kar chalā gayā
palkoñ pe jis ko maiñ ne biThāyā thā umr-bhar
ḳhud ko mirī nazar meñ girā kar chalā gayā
kahtā thā tere lab pe sajā.ūñgā qahqahe
ik din vo shaḳhs mujh ko rulā kar chalā gayā
jab mausam-e-visāl kī mujh ko talab huī
hāthoñ se mere haath chhuḌā kar chalā gayā
ai sar-phirī havā maiñ bhalā tujh se kyā kahūñ
āñchal ko terā jhoñkā uḌā kar chalā gayā
'gulfām' maiñ ne jis ko tarāshā thā umr-bhar
vo shaḳhs merī hastī miTā kar chalā gayā
nindon se mere KHwab chura kar chala gaya
aaya meri hayat mein aa kar chala gaya
hamwar jis ke raste karti rahi sada
kanTe wo meri rah mein bichha kar chala gaya
palkon pe jis ko main ne biThaya tha umr-bhar
KHud ko meri nazar mein gira kar chala gaya
kahta tha tere lab pe sajaunga qahqahe
ek din wo shaKHs mujh ko rula kar chala gaya
jab mausam-e-visal ki mujh ko talab hui
hathon se mere hath chhuDa kar chala gaya
ai sar-phiri hawa main bhala tujh se kya kahun
aanchal ko tera jhonka uDa kar chala gaya
'gulfam' main ne jis ko tarasha tha umr-bhar
wo shaKHs meri hasti miTa kar chala gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.