nikal zat se bahar nikal tanhai
nikāl zaat se bāhar nikāl tanhā.ī
kamāl jab hai ki sheroñ meñ Daal tanhā.ī
azāb-e-jāñ bhī jahāñ meñ nahīñ koī aisā
rafīq bhī hai baḌī be-misāl tanhā.ī
tamām zindagī do vāqi.āt meñ yuuñ hai
uruuj us kī rifāqat zavāl tanhā.ī
koī bhī vaqt ho terā hī zikr kartī hai
kabhī to pūchhe hamārā bhī haal tanhā.ī
agarche shahr meñ bikhrī hai jā-ba-jā phir bhī
'shujā.a' apne liye ghar meñ paal tanhā.ī
nikal zat se bahar nikal tanhai
kamal jab hai ki sheron mein Dal tanhai
azab-e-jaan bhi jahan mein nahin koi aisa
rafiq bhi hai baDi be-misal tanhai
tamam zindagi do waqiat mein yun hai
uruj us ki rifaqat zawal tanhai
koi bhi waqt ho tera hi zikr karti hai
kabhi to puchhe hamara bhi haal tanhai
agarche shahr mein bikhri hai ja-ba-ja phir bhi
'shujaa' apne liye ghar mein pal tanhai
- Book : kharaaj-e-dostaan (Pg. 110)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.