nikal aai hun aage main gunahon aur sawabon se
nikal aa.ī huuñ aage maiñ gunāhoñ aur savāboñ se
bahut ḳhush huuñ ki merī jaan chhūTī in azāboñ se
uThā kar rakh diye haiñ ḳhair-o-shar ke sab bahī-khāte
bahut mushkil meñ thī sūd-o-ziyāñ ke in hisāboñ se
bahut lipTe rahe ye jism-o-jāñ se bel kī mānind
hijāb aane lagā hai ab to mujh ko in hijāboñ se
Thaharne hī nahīñ dete the rasm-o-rāh aur rishte
nikalte hī nahīñ the paañv mere un rakāboñ se
ga.e vo din ki dūbhar thā yahāñ par saañs lenā bhī
zamāne ne jakaḌ rakhā thā mujh ko yuuñ tanāboñ se
yahāñ par har taraf vahm-o-gumāñ kī ret uḌtī hai
nahīñ khānā magar dhokā chamakte in sarāboñ se
kisī ke dard hī bāñTūñ maiñ niklūñ apne kamre se
rahegī aur kitnī guftugū merī kitāboñ se
Darā rakkhā thā itnā ahl-e-mimbar ne mujhe 'zahrā'
ki mujh ko ḳhauf sā aane lagā thā apne ḳhvāboñ se
nikal aai hun aage main gunahon aur sawabon se
bahut KHush hun ki meri jaan chhuTi in azabon se
uTha kar rakh diye hain KHair-o-shar ke sab bahi-khate
bahut mushkil mein thi sud-o-ziyan ke in hisabon se
bahut lipTe rahe ye jism-o-jaan se bel ki manind
hijab aane laga hai ab to mujh ko in hijabon se
Thaharne hi nahin dete the rasm-o-rah aur rishte
nikalte hi nahin the panw mere un rakabon se
gae wo din ki dubhar tha yahan par sans lena bhi
zamane ne jakaD rakha tha mujh ko yun tanabon se
yahan par har taraf wahm-o-guman ki ret uDti hai
nahin khana magar dhoka chamakte in sarabon se
kisi ke dard hi banTun main niklun apne kamre se
rahegi aur kitni guftugu meri kitabon se
Dara rakkha tha itna ahl-e-mimbar ne mujhe 'zahra'
ki mujh ko KHauf sa aane laga tha apne KHwabon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.