nikal gaya hai mere hath se nizam mera
nikal gayā hai mire haath se nizām mirā
mujhe hī aañkh dikhātā hai ab ġhulām mirā
maiñ kyā batā.ūñ ḳhushāmad ke kyā tarīqe haiñ
kabhī paḌā hī nahīñ jāhiloñ se kaam mirā
mirā bhī naam uchhālā thā mere dushman ne
ab āsmāñ kī jabīñ par likhā hai naam mirā
ab aap log tamāshe se ho ga.e fāriġh
lo ho gayā hai chalo kaam ab tamām mirā
jo bach rahe the mire saath ham-kalāmī se
vo aaj paḌh rahe haiñ DhūñDh kar kalām mirā
nikal gaya hai mere hath se nizam mera
mujhe hi aankh dikhata hai ab ghulam mera
main kya bataun KHushamad ke kya tariqe hain
kabhi paDa hi nahin jahilon se kaam mera
mera bhi nam uchhaala tha mere dushman ne
ab aasman ki jabin par likha hai nam mera
ab aap log tamashe se ho gae farigh
lo ho gaya hai chalo kaam ab tamam mera
jo bach rahe the mere sath ham-kalami se
wo aaj paDh rahe hain DhunDh kar kalam mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.