nikal ja shahr se jangal ki jaanib
nikal jā shahr se jangal kī jānib
na muḌ kar dekh phir daldal kī jānib
kisī ahl-e-ḳhirad kā sar na phūTe
na patthar pheñk yuuñ pāgal kī jānib
huā ehsās apnī tishnagī kā
nigāheñ jab uThīñ bādal kī jānib
na kar samjhauta koī tīrgī se
baḌhe āñdhī agar mash’al kī jānib
ka.ī sadiyoñ se 'shaidā' tak rahe haiñ
ham apne aane vaale kal kī jānib
nikal ja shahr se jangal ki jaanib
na muD kar dekh phir daldal ki jaanib
kisi ahl-e-KHirad ka sar na phuTe
na patthar phenk yun pagal ki jaanib
hua ehsas apni tishnagi ka
nigahen jab uThin baadal ki jaanib
na kar samjhauta koi tirgi se
baDhe aandhi agar mash’al ki jaanib
kai sadiyon se 'shaida' tak rahe hain
hum apne aane wale kal ki jaanib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.