nikal kar dil se ek ik ki zaban tak baat ja pahunchi
nikal kar dil se ik ik kī zabāñ tak baat jā pahuñchī
kahāñ kī baat thī lekin kahāñ tak baat jā pahuñchī
ġhurūr-e-husn un ko thā ġhurūr-e-ishq thā ham ko
ta.ajjub kyā jo āḳhir imtihāñ tak baat jā pahuñchī
mohabbat karne vaale jaan par bhī khel jaate haiñ
vafā kaisī agar sūd-o-ziyāñ tak baat jā pahuñchī
nazar sahvan uThī un par fasāne ban ga.e kyā kyā
zarā sī baat thī lekin kahāñ tak baat jā pahuñchī
hamāre ishq ke charche kahīñ roke se rukte haiñ
ab us kī is kī ik ik kī zabāñ tak baat jā pahuñchī
gila kaisā shikāyat kyoñ pashemānī se kyā hāsil
jahāñ tak tum ne pahuñchā dī vahāñ tak baat jā pahuñchī
mohabbat laakh pardoñ meñ bhī zāhir ho ga.ī āḳhir
dil-e-ḳhāmosh se har īn-o-āñ tak baat jā pahuñchī
pahuñchnī thī lab-e-sāqī se jo mujh rind-e-mai-kash tak
ta.ajjub hai vo zāhid kī zabāñ tak baat jā pahuñchī
mohabbat do diloñ kā raaz ham samjhe the ai 'shaidā'
na jaane kis tarah saare jahāñ tak baat jā pahuñchī
nikal kar dil se ek ek ki zaban tak baat ja pahunchi
kahan ki baat thi lekin kahan tak baat ja pahunchi
ghurur-e-husn un ko tha ghurur-e-ishq tha hum ko
tajjub kya jo aaKHir imtihan tak baat ja pahunchi
mohabbat karne wale jaan par bhi khel jate hain
wafa kaisi agar sud-o-ziyan tak baat ja pahunchi
nazar sahwan uThi un par fasane ban gae kya kya
zara si baat thi lekin kahan tak baat ja pahunchi
hamare ishq ke charche kahin roke se rukte hain
ab us ki is ki ek ek ki zaban tak baat ja pahunchi
gila kaisa shikayat kyon pashemani se kya hasil
jahan tak tum ne pahuncha di wahan tak baat ja pahunchi
mohabbat lakh pardon mein bhi zahir ho gai aaKHir
dil-e-KHamosh se har in-o-an tak baat ja pahunchi
pahunchni thi lab-e-saqi se jo mujh rind-e-mai-kash tak
tajjub hai wo zahid ki zaban tak baat ja pahunchi
mohabbat do dilon ka raaz hum samjhe the ai 'shaida'
na jaane kis tarah sare jahan tak baat ja pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.