nikal kar halqa-e-ahl-e-asar se bhag jaun main
nikal kar halqa-e-ahl-e-asar se bhaag jā.ūñ maiñ
ka.ī din se ye ḳhvāhish hai ki ghar se bhaag jā.ūñ maiñ
zarā himmat kare ye dil to shāyad dūsre pal meñ
chhuḌā kar jaan dast-e-chāra-gar se bhaag jā.ūñ maiñ
abhī raste meñ haiñ kuchh jāne-pahchāne hue chehre
hirāsāñ ho ke kyoñ gard-e-safar se bhaag jā.ūñ maiñ
chalo yūñhī sahī ab ke ziyāda bārisheñ hoñgī
to kyā apne shikasta bām-o-dar se bhaag jā.ūñ maiñ
chalo yūñhī sahī ab ke nishāne par faqat huuñ maiñ
to kyā muñh pher kar un kī nazar se bhaag jā.ūñ maiñ
kahāñ vo aañkh ki is baam se aage bhī kuchh dekhūñ
kahāñ vo paañv ki is rāhguzar se bhaag jā.ūñ maiñ
nikal kar halqa-e-ahl-e-asar se bhag jaun main
kai din se ye KHwahish hai ki ghar se bhag jaun main
zara himmat kare ye dil to shayad dusre pal mein
chhuDa kar jaan dast-e-chaara-gar se bhag jaun main
abhi raste mein hain kuchh jaane-pahchane hue chehre
hirasan ho ke kyon gard-e-safar se bhag jaun main
chalo yunhi sahi ab ke ziyaada barishen hongi
to kya apne shikasta baam-o-dar se bhag jaun main
chalo yunhi sahi ab ke nishane par faqat hun main
to kya munh pher kar un ki nazar se bhag jaun main
kahan wo aankh ki is baam se aage bhi kuchh dekhun
kahan wo panw ki is rahguzar se bhag jaun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.