nikal kar zabt ki had se fughan tak baat ja pahunchi
nikal kar zabt ki had se fughan tak baat ja pahunchi
Raheemullah Shad
MORE BYRaheemullah Shad
nikal kar zabt kī had se fuġhāñ tak baat jā pahuñchī
ḳhabar bhī hai dil-e-nādāñ kahāñ tak baat jā pahuñchī
sitam hai dil-lagī hai imtihāñ tak baat jā pahuñchī
kahāñ se baat niklī thī kahāñ tak baat jā pahuñchī
nikal aa.e sitāre merī uljhan ke tamāshe ko
zamīñ vāloñ kī kyūñkar āsmāñ tak baat jā pahuñchī
zamāne bhar meñ jo charchā hai mere ḳhūn-e-nāhaq kā
vahāñ tak hashr barpā hai jahāñ tak baat jā pahuñchī
unheñ ai ‘shād’ rusvā.ī kā apnī kyā ḳhayāl aaya
nikal kar gūñge dil se jab zabāñ tak baat jā pahuñchī
nikal kar zabt ki had se fughan tak baat ja pahunchi
KHabar bhi hai dil-e-nadan kahan tak baat ja pahunchi
sitam hai dil-lagi hai imtihan tak baat ja pahunchi
kahan se baat nikli thi kahan tak baat ja pahunchi
nikal aae sitare meri uljhan ke tamashe ko
zamin walon ki kyunkar aasman tak baat ja pahunchi
zamane bhar mein jo charcha hai mere KHun-e-nahaq ka
wahan tak hashr barpa hai jahan tak baat ja pahunchi
unhen ai ‘shad’ ruswai ka apni kya KHayal aaya
nikal kar gunge dil se jab zaban tak baat ja pahunchi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.