nikal raha hai to phir mere jism-o-jaan se nikal
nikal rahā hai to phir mere jism-o-jāñ se nikal
jo darmiyāñ nahīñ rahnā to darmiyāñ se nikal
kabhī bhī maiñ ne zamīñ par tujhe nahīñ dekhā
bulandiyoñ pe agar hai to āsmāñ se nikal
tirā vajūd sarāpā ġhazal sā lagtā hai
kabhī to sher kī sūrat mirī zabāñ se nikal
tamām umr hī rahnā hai dhuup meñ mujh ko
agarche saath meñ chalnā hai sā.ebāñ se nikal
tū mujh meñ aa ke samā jā agar tū merā hai
jo merā koī nahīñ hai to dāstāñ se nikal
nikal raha hai to phir mere jism-o-jaan se nikal
jo darmiyan nahin rahna to darmiyan se nikal
kabhi bhi main ne zamin par tujhe nahin dekha
bulandiyon pe agar hai to aasman se nikal
tera wajud sarapa ghazal sa lagta hai
kabhi to sher ki surat meri zaban se nikal
tamam umr hi rahna hai dhup mein mujh ko
agarche sath mein chalna hai saeban se nikal
tu mujh mein aa ke sama ja agar tu mera hai
jo mera koi nahin hai to dastan se nikal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.