nikal to aae is ujDe hue makan se hum
nikal to aa.e is ujḌe hue makān se ham
tamām shab rahe mahrūm sā.ebān se ham
ham apne vaqt ke baalā buland sūraj the
ġhurūb ho ga.e kis tarah darmiyān se ham
zarā bhī jis meñ nasīhat ho kuchh hidāyat ho
nikāl dete haiñ vo baat apne kaan se ham
dil o dimāġh nahīñ lafz hī karishma hai
to kyā ajab ki hue qatl is zabān se ham
visāl-e-yār se achchhā to hijr hī hai ki ab
sukūñ se rahte haiñ vo bhī aur apnī shaan se ham
ye sar buland to ho jā.egā magar 'jāved'
zarūr jā.eñge ik roz apnī jaan se ham
nikal to aae is ujDe hue makan se hum
tamam shab rahe mahrum saeban se hum
hum apne waqt ke baala buland suraj the
ghurub ho gae kis tarah darmiyan se hum
zara bhi jis mein nasihat ho kuchh hidayat ho
nikal dete hain wo baat apne kan se hum
dil o dimagh nahin lafz hi karishma hai
to kya ajab ki hue qatl is zaban se hum
visal-e-yar se achchha to hijr hi hai ki ab
sukun se rahte hain wo bhi aur apni shan se hum
ye sar buland to ho jaega magar 'jawed'
zarur jaenge ek roz apni jaan se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.